Maharashtra HSC 2021 Result Date Annouced

 Maharashtra HSC results dates abhi tak announced nahi ho rahe hai iske piche bhot sare reasons bhi hai lekin kuch ese dates or deadlines hai jo supreme court ne diye hai. To unke regarding hum aaj baat karne wale hai.


Toh jese ki aap sab hi jante ho ke covid ke badhte cases ke wajah se exams ko cancel kiya gya tha.

But Education Minister Varsha Gaikwad iss decision se khush nahi thi unka main moto yahi tha ke students ke exams hone chahiye but covid situations ko samajh te hue unko decisions badalne pade.

Week pehle SSC boards ke results announced hue jisme students ka result bhot badhiya aya hai. But jese ki result ke vkt students ko bhot sari problems face karni padi hai.

Result ke din result portal ke server down hogye the bhot se students ko unka result dekheme problem hui thi.

Or 11th me admission ke liye naya rule apply kardiya gya hai jisme 10th pass students ko CET dena compulsory hoga.

Or humko CET registration ke wakt bhi kayi problems aayi server ko lekar server down or bhi bhot sari problems students ke sath aaye

This year 12th HSC ke liye over 16 lakh students ne apply kiya tha to iss baat ko pointout karte hue 12th result me koi problem na aaye islye ye further delay ho raha hai.

But supreme court ne bhi statement announced kardiya hai ke 31 July se pehle sare board's ke results announced ho jane chahiye. 

Or Isme Maharashtra Boards puri koshish kar raha hai ke students ko result process me koi problem na ho.

12th HSC Board's result date likely 2 August ho sakte hai ese report's keh rahe hai but ab kuch hi din bache hai kynki ese jyada delay board nahi kar sakta.

Agar aap esehi humare blog's padhna chate ho to humari website ko homepage par add kar sakte ho 


Post a Comment

0 Comments